"andaaz apney dekhtey hainaainey me wo,
aur ye bhi dekhtey hain k koi dekhta na ho...."
--------------------------------------------
"tere waadey pe jiye to ye jaan jhooth jaana,
khushi se mar nhi jaatey agar aitbaar hota..."
-------------------------------------------------
"wo nhi h to uski aas rahe
ek jaaye to ek paas rahe
jb bi kasne laga utaar diya
is badan pe kai libaas rahe
dono ek doosre ka muh dekhain
aaina aaine ke paas rahe
aaj hum sab ke saath khoob hanse
aur phir der tak udaas rahe"
-----------------------------------------------
"मुझे ये मलाल नही कि उसमे बहुत जोश है,
तसल्ली इस बात की है कि मुझे अभी होश है"
--------------------------------------------------
"dil ki chhoton ne kabhi chain se rehne na diya,
jab chali sard hawa mene tujhe yaaad kiya,
iska rona nahi kyu tumney kiya dil barbaad mera,
iska gum hai ke bohot der me barbad kiya.."
-----------------------------------------------
"sabak jisko wafa ka yaad hoga,
mohobbat me wahi barbaad hoga...
shahar ujda to bus jaayega lekin,
humara dil na fir abad hoga...
kafat me hum badey mehfoos honge,
ke pehrey par khada saiyyad hoga...
humara naam bhi lenege lekin,
humara zikr sabke baad hoga.."
----------------------------------------------------
"Mohabbat, aman, khushali ye har insaan ki chahat,
Ye Hindustan ki chahat h yeh Pakistan ki chahat,
Yeh sari sarhadein ban jayegi phool dekhna ek din,
Pukaregi kabi insaan ko insaan ki chahat!
Hum insaan h to bas insaniyat ka dharam apanaye,
ye he h Ram ki chahat Ye he h Rehman ki chahat!
Iraade nek rakhna or manjil pe kadam rakhna,
yahe Geeta ki chahat h Ye he Quraan ki chahat h!"
----------------------------------------------------
"yoon besabab na fira karo,
koi shaam ghar par raha karo,
wo ghazal ki sachi kitaab hai,
usey chupke chupke padha karo,
koi haath b na milaega,
jo galey miloge tapaak se,
ye naye mizaaz ka shahar hai,
zara faaslon se mila karo."
-------------------------------------------------------------
"mat poochiye kis kadar hai bdKISMATI ka aalam....
mai sajda bhi karta hoon to kaba sarak jaataa hai...."
----------------------------------------------------------
"har mod pe mil jaatey hain humdard hazaaron,
shaayad meri basti me adaakaar bohot hain..."
------------------------------------------------------------
"Wo dhoondh rahe hain bahaana humse door jaane ka,
sochta hoon khafa hoke unki mushkil aasaan kar doon..."
---------------------------------------------------------------
"Gar dkhna chahtey ho mere udane ki inteha,
to aasmaa ko keh do k apna kad zara aur badha ley..."
-------------------------------------------------------------
"ye barf raatein bhi bankar abhi dhuaan ud jayein...
wo ek lihaaf mai odhu to sardiyaan ud jayein...
bohot guroor hai dariya ko apney hone par...
jo meri pyaas se uljhe to dhajjiyaan ud jayein..."
----------------------------------------------------------
"achey bure ki tumko khabar de ke jaunga,
chehro ko pakadney waali nazar de k jaunga,
yaaron mai is zamaaney ka wo sangtaraash hu,
pattharon ko bolney ka hunar de k jaunga.."
----------------------------------------------------------------------------------
"Amal se zindagi banti hai, jannat b aur jahanum
"yeh khaaki apni fitrat mein na noori hai na naari hai--BY ALAMA IKBAL SAHAB
---------------------------------------------------------
MY FAVOURITE ONE=
"loo bhi chalti thi to wo baad-e-saba kehtey the,
paanv phailaye andhere ko jiyaaa kehtey the,
unka anjaam tujhe yaad nhi hai shaayad,
aur bhi log the jo khud ko khuda kehtey they..."
-------------------------------------------------------
"naye safar ka naya intazaam keh denge,
hawa ko dhoop chiraago ko shaam keh denge,
kisi se haath b chhup k milaiye,
warna isey bhi maulvi sahab haraam keh denge..."
----------------------------------------------------
"Mana k wo humse khafa hain,
mgr fir b wo tasveer-e-wafa hain..."
------------------------------------------------
"jab log patthar marey aaye to wo bhi saath aaye,
jinke gunaah kabhi hum apney sar liya kartey the...."
-------------------------------------------------------
"Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega
---------------------------------------------------------
Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega
--------------------------------------------------------
"Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega
Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega"
------------------------------------------------------
"kaun bhala kisko dil me jagah deta hai,
ped b sookhey hue pattey gira deta hai,
waqif hu main duniya k rivaajo se,
jaan nikal jaye to koi apna hi aag laga deta hai..."
-------------------------------------------------------
"sher achey hain fun acha hai kamaal acha hai,
dekhiye sab kahenge k khayaal acha hai,
doston tumko sunaunga naye sher abhi,
wo alag baandhkar rakha hai jo maal acha hai"
----------------------------------------------------
"kabhi mehek ki tarah humgulon se udtey hain,
kabhi dhooein ki tarah hum parvaton se udtey hain,
ye ke\ainchiyaan hume udney e khaak rokengi,
k hum paron se nahi hoslon se udtey hain....."

No comments:
Post a Comment