Follow @kReativekrish kReative krish: Sachi Mohobbat ka Zamana...... NAHI

Saturday, December 3, 2011

Sachi Mohobbat ka Zamana...... NAHI

'Meri jaanaa ne kabhi mujhey jaanaa nahi,
kabhi pyaar ko mere pehchaana nahi,
uske liye mera pyaar duniya ko madhosh kar gaya,
magar bana saka usey apna deewana nahi,
usey to bus khuli aankho se apni hi chaahtein dikhi,
mera dil kholke mohobbat lutaana nahi,
uski ek aarzu b mere liye hukm thi,
aur meri iltaja tak ko b usne kabhi maana nahi,
usney badi koshishein ki mujhse mohobbat na karey,
magar laakh koshisho ke baad b wo seekh paya nafrat ko dabana nahi,
aaj mai b usi ki raah par hoon... Usi jaisa hoon... Usi me basa hoon,
magar usko aajtak aaya mujhme samana nahi,
wo kehtey hain ki mohobbat aur jang me sab jaayiz h,
usne jung to jeet li magar ye mohobbat ka fasaana nahi,
usey dilon pe raaz karna to aayaa,
magar aa saka mohobbat kamana nahi,
hum aaj b sachi mohobbat ka dum bhartey hain,
magar wo kehtey hain ki ye ab tumhara zamana nahi'...

No comments:

Post a Comment

Facebook Badge