Follow @kReativekrish kReative krish: Tera Deewana bana Aur Banta Chala Gaya

Thursday, November 17, 2011

Tera Deewana bana Aur Banta Chala Gaya

tujhse mila, tujhpe mara, tera deewana bana or banta chala gaya,
hum dono saath kya chaley... peechey karvaan bana or banta chala gaya,
mai teri narzron se jee bhar ke peeta raha ae saaki,
ye bharey bashar mehfil-e-aadam maikhana bana  or banta chala gaya,tujhse mila, tujhpe mara, tera deewana bana or banta chala gaya,  
tujhe dekhaa jo makhmali libaas me to bus us ek lamhey me hi tera ho gaya,
fir ek sama bana aur banta chala gaya,
na tune kabhi dil ki baat ki na kabhi maine hi izhaar-e-ishk kiya,
magar fir bhi ek afsaana bana or banta chala gaya,tujhse mila, tujhpe mara, tera deewana bana or banta chala gaya,  
humne to kuch na bigada is jahaaan ka,
magar fir bhi ye zamana humari mohobbat ka dushman bana aur banta chala gaya,
tu meri jaan hai.. teri chaahtein mera imaan hai,
teri meri chaahton ka ek fasana bana aur banta chalaa gaya,
tujhse mila, tujhpe mara, tera deewana bana or banta chala gaya,

No comments:

Post a Comment

Facebook Badge