Naya hai ye saal ya ehsaas kuch naya hai,
jaane kyu lagta ye ehsaas kuch juda hai,
kal fir wahi suraj niklega,
papeeha fir din ki shuruaat karehga,
dil me umango ke fir naye deep jalengey,
daane ki talaash me parindey ghoslon se udenge,
sab kuch to pehle ki hi tarah hai,
kahaan kuch naya hai? kahaan kuch naya hai?
fir nayi mushkilon se ladna hai,
fir kuch alag.. kuch naya karna hai,
ateet se kuch sabak lena hai,
dukh na miley.. sabko khushiyan dena hai,
sabkuch to pehley ki hi tarah hai,
kahaan hkuch naya hai.. kahaan kuch naya hai,
yoon to dekhne ko har beet-ta din purana,
aur aata din naya hai,
dil se poocho humne naya kya kiya hai,
apne liye to jaanwar bhi jeeta hai,
insaan nkab insaan ke liye jiya hai...
bus isiliye dil poochta hai...
kahaan kuch naya hai.. kahaan kuch naya hai..------------------- written by bdKISMAT krishan
